Sirf tujhko hi maine ye haq diya hai
Tu mujhko roj sataya kar
Pata hai aaj kya hua keh kar
Mujhe saari baatein bataya kar
Har din teri baaton mein guzre
Tu har shaam sajaya kar
Tere bina adhura hoon main
Tu khud ko mera bataya kar
Har baat honth bayan nahi karte
Khubsurat aankhon se samjhaya kar
Tujh mein hi meri duniya basi hai
Tu apne aap mein mujhe paaya kar
Main toot bhi jaaun kabhi to
Tu mujhko gale lagaya kar
Khamoshiyon ke iss sheher mein
Tu bas mera shor machaya kar
Kabhi na mujhse alag hona
Tu har mod pe nazar aaya kar
Jahan bhi jiye humne kuch pal
Wahan tu hamara ghar banaya kar
Main likhun jo tere baare mein
Tu usko khubsurat ghajal bnaya kar
Comments
Post a Comment