Us Khudgarj ko bhula nahi paya hoon
Mujhe aaj bhi pyar hai bta nahi paya hoon
kayi baar mann hua uski yaadein jalane ka
Ek machis ki tilli tak bhi jala nahi paya hoon
kahan dil mei utarne ki baat karte ho sahab
Ungliyan tak to mai choo nahi paya hoon
Anjaane log usko geet aur ghazle suna dete hain
Mai naam pukaar usko kabhi rok nahi paaya hoon
Suna hai bahut deewane ghumte hain teri galiyon mei
Aur mai tumhare mahholle tak ja nahi paya hoon
Tumhare khule baal ache nahi lagte aisa sakhiyan kahti hai
Kitna bada jhooth bolti hain wo bta nahi paya hoon
Jis ladke ka naam tumhare sath bewajah joda hua hai logon ne
wo roj peet ta hai mujhse maaf use kar nahi paaya hoon
Wo mere baare mei to chodo mera naam tak nahi jaanti hogi
Wo mujhse baat kyu karegi is soch se bahar aa nahi paya hoon
Aksar Sochta hun ki wo mere kabil nahi thi ya mai uske
Ye sawal kabhi jahan mei na aaye aisi shaam gujaar nahi paya hoon
Log kahte hain tumhe usko apne pyar ka ijhar karna chahiye tha
Meri gareebi aur poorane khayalat wali soch chipa nahi paya hoon
Aaj kayi saal ho gaye hain uski ek tarfa chahat mei
Mai Fir bhi khush hun kisi aur se mahobbat kar nahi paya hoon
Mai apne biwi bachon mei khush wo apne pariwar mei khush
Ki ye pahli aur aakhri ghazal hai iske baad se Dohra nahi paya hoon
Comments
Post a Comment