Mere mahaboob mujhse pahle si mahobbat na maang
Ab mai tumhe wo de na paaunga
Jab tum chod ke gyi thi uske baad mai bahut toot gaya tha
Ab naam tumhara thik se le na paaunga
Ab jo baatein hongi wo sab taul ke ki jayegi
Ab ruthe hue ko mai na mana paaunga
Mere mahaboob mujhse pahle si mahobbat na maang
Ab mai tumhe wo de na paaunga
Aa jao meri jindgi mei tum beshak wapis
I love you fir se mai bol na paaunga
Jo bhi ladaiya hoti thi galti kiski hoti thi pta hi nahi chalta tha
Ab jo hongi ladai usme hamesha ki trah sorry mai bol na paaunga
Pahle tha ki tere bina kisi ko apnaunga nhi
Lekin aisa bhi nahi ki ab kisi aur ko apna na paaunga
Meri maa ne tumhara number save kiya tha bahu ke naam se delete ho chuka
Ab dobara number save tumhara karwa na paaunga
Mere mahaboob ab mujhse yun rojana haal mat puchna
Mai thik hun ye juth bol ab na paaunga
Kyu tum mujhse kahti ho itna kyu badal gaye
Gujra jamana laut ke mai kabhi la na paaunga
Ab jo aaye ho itne waqt baad to puch rahe ho kya haal bna rakha hai
Ab chahkar bhi apna ye haal sanwar na paaunga
Teri chilahate teri galiyan kaano mei ab bhi bajti hai
Ab tere pyar ke do bol bhi sun na paaunga
Comments
Post a Comment